Din teray aanay say motbar thay,
Noor mein dubay shaam o sehar they.
Teray janay say dil ro raha hai,
Mah e Ramzan bas alvida hai.
Alwada Alwida Alvada Hai, Mah e Ramazan bass alwida Hai.
Sehri iftar qir’at tarawi,
Aur azaan e namazein o tasbeeh.
Yeh saman noori tujh say mila hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.
Alwada Alwida Alvada Hai, Mahe Ramadan bass alwida Hai.
Rehmatoon ka tu pegham laya,
barkatoon ka tu inaam laya.
Rutba aala o afzal tera hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.
Alwada Alwida Alvida Hai, Mah e Ramadhan bas alwida Hai.
Jaam rehmat kay tunay pilaye,
Gul muradoon kay tuney khilaye.
Tu juda hum say ab ho raha hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.
Alwada Alwida Alvada Hai, Mah e Ramdhan bas alwida Hai.
Humko baykal tu paye ga kab tak,
Gar rahe zinda aglay baras tak.
Phir milein gay jo huqmay khuda hai
Mah e Ramzan bas alwada hai.
Alwada Alwida Alvada Hai, Mah e Ramadhaan bass alwida Hai.
Chal diya hai tu jo Rab ki janib,
Ahl e Imaan kay purnam hain Qalib.
Qalb e Ishrat bhi gham say bhara hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.
Alwada Alwida Alvida Hai, Mah e Ramazaan bass alwida Hai.
Humko bekal tu payega tab tak
Gar rahay zinda agle baras tak.
Phir milengay jo huqm e Khuda hai
Mah e Ramzan bas alwada hai.
Alwada Alwida Alvada Hai, Mah e Ramzan bas alwida Hai.
Related:
Listen Online & Download Free alwida alwida mah e ramzan naats by farhan ali qadri, alwida alwida naats, alwida alwida mahe ramzan sms, alwida alwida text messeges, alwida alwida shyari, alwida alwida mah e ramzan alwida naats.